Naye note ( negative points ) 

 

Ye kaisa faisla liya modi sarkar ne 

Har kisi vayakti ko laakar khada kar diya kataar mein 


Ho rahi hai har jagah maara – maari 

Badh rahi logon ki pareshaani 


Chadhta ja raha hai logon par dukaandaron ka udhar 

Na jaane kaise mil payega is samasya ka samadhan 


Ho rahi hai sabko yahi chinta ab 

Ki naye note na jaane mil payenge kab ??


Ho raha un logon ka shikaar 

Jinke pass kaala dhan tha beshumaar !!


Reh gaye mummy – papa ke sapne adhure 

Karna chahte the vo hamare sapne pure 

Exams

Hone vale hain hamare exams pure 

Par na jane kyun reh gaye hamare sapne adhure 

Ab aur bhi zyaada rakhna padega humein apni padhai ka dhyaan 

Jisse deni na pad jaye humein dusron ki misaal 

Par mann to karta hai ki jaane nahi chahiye ye din kabhi 

Kyunki hum sabne masti karni to shuru hi ki thi abhi 

Hote nahi hain ye din itne bhi bure 

Kyunki ye madadgaar hote hain ye sapne pure karne mein hamare 


Khayega nahi vo kabhi bhi shikast 

Jo chamkaana chahta ho apni kismat 


To ab aur kya kahein ki kaise hote hain ye exams 

Jo karne bhi lagte hain masoom bachhon ko pareshaan 


Maanti hoon ki hone nahi chahiye masoom bachhon par ye zulm 

Lekin fir aap hi bataiye ki kaise seekh payenge vo ilm 


Kaise ban payegi unki kabliyat achhi 

Jisse karne lagein vo batein sachhi 


Par jaise jaise vo honge bade 

Tab vo karne lagenge inki kadrein

Bhai

Bhaiyon ka to aap puchhiye hi mat 

Batate hain vo mujhe har dam galat 

Ho jati hoon naraaz mai unki shaitaniyon pe 

Par phir bhi aata hai pyaar mujhe unki nadaniyon pe 

Kabhi haste hain kabhi rote hain 

Par fir bhi hum sab sath milkar hum khelte hain 

Chahe ho jaun mai unse kitni bhi badi 

Lekin rakhte hain vo mujhpe nazrein kadi 

Dete rehte hain vo mujhe tab tak farmaan 

Jab tak pure na kar doon mai unke dil ke armaan 

Ladki

Hoti hain komal phulon si ladkiyan 

Raaj karti hain sabke dilo pe ladkiyan 

Aa jaye lakh musibat inpe 

Fir bhi chhati hain sabke mann pe 

Rakhti hain vo sabko sanjoke 

Chahe miley unhein kitne bhi dhoke

Lutaati hain vo pyaar ko is tarah 

Jaise ho unke pass iski jageer jis tarah 

Kis tarah bataoon ki kya cheez hoti hain ladkiyan 

Sabke dikon ki dhadkan hoti hain ladkiyan 

Hoti hain komal phulon si ladkiyan 

Raaj karti hain sabke dilon pe ladkiyan 

Agar hum ladkiyan hain to kya hua??

Deti hain hum sabko dil se duaa …..

Teacher

Dikhati hain vo sahi raasta humein 

jiske liye padta hai unhein daatna humein 

Padhati hain vo humein itne dil se 

Taki ho jayein hum earworm aphids zindagi mein 

Samajhti hain vo humein apney bachhon ki tarah 

chahti hain vo humein ek achhi jagah 

Padha padhakar thak jaati hain vo humein 

Fir bhi baaz nhi aatey pareshaan karney se unhein 

Puchhtey hain hum unse itne prashan baar baar 

Fir bhi vo kabhi na maanti haar 

Batati hain vo humein tab tak jab tak aa na jaye hamare dimaag me jab tak 

Bheja hai bhagwan ne shikshak ke roop mein 

Jo ghabrata nhi hai padhane se humein kadi dhoop mein 

Sada milaakar chalti hain vo kadam se kadam hamare 

kya majaal kisi ki ki koi unhein humae churaley…….