Chachu 

Ban gaye ho aap hamari zindagi ka ek zaroori hissa 

Jiska bhool nhi saktey hum koi bhi kissa 

Samajhtey ho aap hamari chhoti se chhoti baat ko 

Kare agar koi galti hum to dikhatey ho aankh ko 

Jab bhi kehte hain hum ki humein zaroorat hai aapki

 to parwah karte nahi ho aap apne kaam ki 

Bheja hai bhagwan ne aapko chachu ke roop mein 

Jo ghabraata nhi hai padhane se humein kadi dhoop mein 

Bhrashtachar 

Baar baar kartey hain vaar 

Baaz nahi aatey unke atyachaar 

Samajhte hain vo logon ko lachar 

Isliye kartey hain vo bhrashtachar 

De rahe hain vo humein bhook ki maar 

Kaise karein hum un par vaar 

Jab bhi mangi sarkar se madad 

Tabhi humein deni padi rishwat 

Mann mein hai tamannah ye 

Banana hai bhrashtachar mukt bharat humein 

Bachpan

Hota hai bachpan kitna rangeen 

Jahan bachhe hotey hain masti mein hi leen 

Rote hain ,hanstey hain ,to kabhi khilkhilatey hain 

To kabhi dusron ko bhi rulate hain 

To kabhi apney sawalon se hi pareshaan ho jate hain 

Aur kabhi kabhi to rotey hue ghar ko aate hain 

Duniya bhar ki khushiyam bhari hoti hain bachpan mein 

Jo mil nhi sakti umar pachpan mein …

Zindagi

  • Kabhi hasanti hai to kabhi rulati hai 
  • to kabhi chain ki neend sulati hai 
  • Iska har pehloo aisa hai 
  • Jaise ghadi ki sooiyaan 

  • Jo bas chalti hi jaati hain 
  • Aur sab kuchh pichhe chhod jati hai 

  • Kabhi fudakti hai kabhi fadfadati hai 
  • To kabhi fur se ud jati hai 

  • Na iske hath hote hain , na hi pair hotein hain 
  • Fir bhi na jaane kaise chalti hi jaati hai 

  • Yaaron kuchh aisi hi hoti hai zindagi 
  • Sukh dukh sabko pahunchati hai zindagi 

Dosti

Salamat rahe ye dostana hamara 

Rang layega yaarana hamara 

Chahe kar lein hum kitni bhi ladai 

Fir bhi seh nhi sakte ek dusre se judai 

Hotey hain jab  bhi dukh mein 

Tabhi dosti aati hai kaam mein 

Chahe aa jaye koi bhi bhoochal 

Fir bhi rahegi hamari dosti bemisaal 

Banana hai humein apna rishta itna khaas 

Kyunki yahi hai hamare is dil ki aas 

Excitement 

Today I m feeling very excited because I have composed a two line poem in english for my brother and the lines are :

    “Here is my brother who is super cool 

And I used to call him sanjay kapoor “

Bhavnayein 

kaise bayan karoon mai unki sachhai

Koot kootkar bhari hai unmein achhai 

Rakhte hain vo mere sare aisho aaram ka dhyaan

 jaise surakshit padi ho myaan mein talvar 

Chahe ho jaun mai naraz unse 

fir bhi manate hain vo mujhe dil se 

Reh nhi sakte vo ek pal hamare bina 

Dil khush hota nahi hai hamara unke bina 

Kar nhi sakta koi unki bharpayi 

Kyunki door karte hain vo hamari tanhai 

Kudrat ki kaisi hai ye khudai 

Jis ghar mein pali ,badi ,kheli ,kudi usi se ho jaungi parayi ..

Mann Ki Baat 

Lagne laga hai vo mujhe hadh se zyaada pyaara 

Mano jaise ho vo sabka dulaara 


Na jane kya kehti hain uski aankhein 

Mehsoos karne lagi hoon mai uski sansein 


Zamane ka dastoor hi kuchh niraala hai 

Kahin par aankhon ki haya , to kahin par zubaan ka tala hai 


Khuda ne bhi na jaane kya sochkar banaya hoga usko 

Dekhna chahti thi meri aankhein shiddat se jisko 


Uski muskurahat ko dekhne se na jaane kyun nahi rok pati mai khudko 

Kaise bataoon usko ki lagne laga hai vo kitna pyaara mujhko 


Mann to karta hai ki bata doon tujhe mai apne dil ki baat 

Par darta hai mann ki kahin tu chhod na de mera sath 


Lagta hai mujhe ho gayi hai dillagi 

Isliye mai teri khushiyon ke liye khuda se duaa karne lagi 


Dekhne lagi mai ab sapne tere sath ke suhaane 

Dhundhne lagi mai tere pass aane ke bahane 

Ki kash tu kisi din aaye or mujhe apna bana le 

Maa

Dekha hai maine jabse is sansar ko 

Paya hai maine sirf unko 


Rakha hai unhone mujhe mamta ke aanchal me chhupake 

Sulati hain vo mujhe apne narm hathon ki chhaon mein dabake 


Sikhlati hain vo humein aisi batein 

Jisse the abhi tak hum anjane 


Jab bhi pareshaani hoti hai humein koi 

To pareshaani hoti hai unhein bhai 


Agar aa jaye aansoon hamari aankh mein 

To rota hai dil unka sath mein 


Apni ichhaon ko markar karti hain ichhayein hamari puri 

Chahti hain vo ki reh na jaye hamari koi tamanna adhuri 


Apne khane se pehle khilati hain vo niwala mujhko 

kaise bataoon ki karti hain vo kitna pyaar mujhko 


sada rehti hain vo mere sath 

kabhi na chhodti mera hath 


Rehti hain vo khud dukhi 

Lekin rakhti hain vo mujhe sukhi 


Meri ek muskaan se aati hai unke chehre par muskurahat 

Behla phuslakar door karti hain mere mann ki karwahat 


Meri ek udasi se ho jati hain vo nirash 

Kare jo pareshaan mujhko karti hain uska vinash 


Karti hain meri sari khwahishein puri 

Deti hain mujhe har cheez ki manzoori 


Jab bhi hoti hoon mai khafa Hasati hain vo mujhe sada 


Hain vo meri pyaari saheli 

Bujhti hain meri sari paheli 


Karti hoon mai mohabbat unko 

ummeed hain ki karti hain vo bhi mohabbat mujhko 


Ho jaye agar bimari humein

To hoti hai bechaini unhein 


Pakadkar ungli meri sikhaya hai unhone chalna mujhe 

Budhape mein chhod doon unka sath kya yahi sikhaya hai unhonein mujhe ??


Humein lagta hai ki hamari dekhbhal karna farz hai unka 

Nahi doston ye karz hai unka 


Kaise karoon main unka shukriya 

karti hain vo itni pratikriya 

Naye note ( positive points )

Naye noton ka kaisa hai ye zamana 

Chahte hain ye logon ki pareshaniyon ko jad se mitana 


Bhrashtachaar mukt Bharat hai banana 

Yahi hai har ek bhartiye  ka sapna 


Jahan ho rahi thi rishwatkhori ki daawat 

vahin pad gayi mulakaton ki aafat 


Hogi bhale hi logon ko pareshaani shuruaat mein 

Lekin aa jayega parivartan hamare hindustan mein 


Gujarat ka nazara jis prakar modi ne hai sudhara 

Usi prakar humein har gaon , gali aur pura desh hai banana 


Har aurat , aadmi aur bachha hoga padha likha 

Tabhi to ghategi hamare desh ki sankeern mansikta